Lenovo ideaPad c340-15IIL Ram upgrade | SSD Upgrade | M.2 SSd upgrade | HDD upgrade
Hello Dosto aapko is Article me Lenovo ideaPad c340-15IIL Ram Upgrade, Lenovo ideaPad c340-15IIL Ssd Upgrade, Lenovo ideaPad c340-15IIL Hdd Upgrade karne ke bare me information milega.
aaj kal log shochte hai ki mera laptop ya desktop slow hai aur google par search karte hai ki jo bhi model rahta hai uska Ram, SSD, m.2ssd, aur hdd konsa lagega.
aur kya apke laptop me Ram slot hai ya nahi hai.apke laptop me konsa hardisk lagega aur maximum kitne GB ka HDD laga sakte hai. Yahi sab swal rahta hai laptop ya desktop user ke man me.
ham is article me janege ki Lenovo ideaPad c340-15IIL laptop ko kaise upgrade kar sakte hai.Lenovo ideaPad c340-15IIL me ram slot kitna hai aur maximum kitne GB tak Ram Upgrade kar sakte hai.
Aur is laptop me kon konsa ssd laga sakte hain, ssd maximum kitne GB tak laga sakte hai, aur hard disk drive konsa lagega, aur maximum kitne GB tak HDD upgrade kar sakte ho .Aur is Lenovo ideaPad c340-15IIL laptop me M.2 slot hai ki nahi hai.
Note – Is article me sirf Lenovo ideaPad c340-15IIL model ke liye hi information hai. lenovo ideaPad c340 ka bhi alag alag model hai,kripa dyan se check karenge.
kyunki is aritcle me sirf Lenovo ideaPad c340-15IIL ke bare me hai.
aur kripa karke subse pahle apne laptop ke model ko check Karen ki apke laptop konsa model hai.
Yadi apko apne laptop ke model ke bare me nahi pata hai to neeche diye gaye link par click Karen aur article me diye instructions ko follow Karen aur apne laptop ke model ko pata Karen. Click Here to find out model number.
Table of Contents
Lenovo ideaPad c340-15IIL Ram Upgrade :-
Lenovo ideaPad c340-15IIL laptop me DDR4-3200mhz SODIMM, 1.2 Voltage ka ram lagega. Is laptop me keval 1 RAM slot hai jisme aap RAM laga sakte hai. aur is laptop me DDR4-2666mhz ka bhi ram laga sakte hai.
Aur is laptop me total Maximum 20GB hi Ram upgrade kar sakte hai. Is laptop me 4GB ya 8GB Ram Non Removable hota hai ( Mother board par 4GB RAM soldred kiya hota hai jisko change nahi kiya ja sakta hai jaise ki mobile phone me RAM hota hai).
Lenovo ideaPad c340-15IIL hard disk drive Replace or Upgrade :-
Lenovo ideaPad c340-15IIL laptop me aap koi bhi brand ka 2.5 inch ka hard disk drive laga sakte hai.
Jaise Ki WD 2.5inch HDD, Seagate 2.5 inch HDD, Hitach 2.5 inch HDD etc. maximum 2TB tak hard disk drive upgrade kar sakte hai. Recommended :- any hard disk drive -7200 RPM.
Lenovo ideaPad c340-15IIL Sata SSD Upgrade :-
Lenovo ideaPad c340-15IIL laptop me 2.5 inch sata SSD laga sakte lekin hard disk drive ki jagah par Replace karna hoga. maximum 2TB tak upgrade kar sakte hai.
2.5 inch SSD ke sath 2.5 HDD nahi kar sakte hai. ya to aap 2.5 inch SSD lagye ya to 2.5 inch HDD laga sakte hai.
Lenovo ideaPad c340-15IIL M.2 SSD upgrade :-
Lenovo ideaPad c340-15IIL laptop me Pcie M.2 Nvme-2280ss Gen 3- SSD lagega. App is laptop me maximum 2TB M.2 SSD laga sakte hai.
is laptop me Pcie M.2 Nvme SSD ke saath 2.5 inch hard disk drive laga sakte hai.
Part Name | Discriptions |
---|---|
RAM | 1 Slot 1 Slot Empty, DDR4-3200mhz-SODIMM, Maximum-16GB RAM, |
SATA SSD | 2.5 inch sata SSD, Maximum – 2TB |
M.2 SSD | Pcie M.2 Nvme-2280ss Gen 3- SSD |
HDD | Any Brand 2.5inch HDD, Maximum 2TB |
Note :- yadi App RAM purchase karne ke liye ja rahe hai to orignal Sumsung aur Crucial ka hi purchase karen.