Hello dosto ham is article janege ki kaise laptop ka model number kaise jane | Desktop ka model number kaise jane aur serial number kaise pata karen.
sabse pahle aap keyboard me Windows Key + R press kijiyefir apke samne Run ka dialog box open hoga usme type kijiye CMD aur ENTER kijiye .
jaise ki neeche image me diya gaya hai.
cammand promt open hone ke baad cammand promt me type karenge “wmic csproduct get name” ye type karne ke baad Enter Button press karna hai. aur dyan rahe wmic ke baad space csproduct ke baad space get ke baad space hai. Enter karne ke baad jo Result Ayega usme apke Laptop ya Desktop ka model Number rahega.
jaise ki neeche image me diya gaya hai.
aur kabhi kabhi aisa hota hai ki apke laptop ke neeche jo stecker rahta hai jisme laptop ka model number rahta hai o mit jata hai, aur apko apne laptop ke serial number ki jarurat padta hai. is time aap dusra cammand apna kar apne laptop ya desktop ka serial number pata kar sakte hai.
dusra cammand neeche diya hua hai, is cammand se aap laptop ya desktop ka serial number ke se saath me model number bhi dekh sakte hai.
is cammand me apko sirf “wmic csproduct” type karne ke baad Enter press karna hai, wmic aur csproduct ke beech me space rahega. wmic csproduct type karne ke baad Enter karenge fir jo result ayega usme apke laptop ya desktop ka serial number aur saath me model number bhi rahega.
apka serial number Identyfying number ke neeche rahega, aur model number Name ke neeche rahega. jaise ki neeche image me diya hua hai.
dhanyabaad apka Www.hindiinformation.in par ane ke liye,
agar is article me kisi tarah ka mistake hua hai to comment karke hame jarur batayen.